
Kash ke tera mai ho bhi sakta,
Tere sune ankho se mai ro bhi sakta.
Barso se jo sukhe pare hai khwab saare…
Unhe apne aansuon se bhigo bhi sakta.
Tamnna thi ki, chandni ki madhham lau tale,
Samnadar ki sant thapero ke rau chale…
Aur jab Din ko suraj ki taapish, tujhe chhune ki kosis kare,
To thndhi bargad ka saya mai ho bhi sakta…
Par jaruri to nahi ki mai tumhe pura karu…
Teri har sans me, apni dharkano se jura karu,
Tu to wazud hai khud ka...pura apna…alag ek pahchan…
Nanhe se dil me, balkhate saikro arman…
Par maine to bas chaha tha …
Kash ki aisa ho bhi sakta.
No comments:
Post a Comment