
Ab ke Jo mai Teri chahon se chala jaunga,
Mujhko shaq hai ki mai bhi badal jaunga
Teri aahon me dam hai, yaqin hai mujhe, fir bhi,
Meri fitrat hai ki fir tujhko na yad aa paunga
Apne Un kahe risto KO Na Jan PAYE duniya kabhi,
Tera zikra apni yadon me bhi na kabhi launga
Mere aansu jab mujhse har waqt sawal karne lage,
2 comments:
yaar tu itna dard kahan se le aata hai....koshish kar raha hun tujhe samjhane ki....its just beautiful...
Na jid kar mujhse dubara milne ki
ki ranjo-gham ki sayai dubara gir jaegi
feeke jo ho chuke hai rang wo phir surkh ho jaenge
Rangeen ashko ko mere log khushi samajh jaenge
ure words are beautiful...wrote something thought will post them here....
chehre se jo dikhti hun...vo dil main nahin..
Jubaan se jo bolti hun vo mann mein nahin...
Jo dil mein hai vo to bus aankhon se jhalakta hai...
aur aankhen vo padta nahin...
Kehne ko to bahut kuch hai uske liye mere paas
lekin unhe byaan karne ke liye shbd nahin hain khaas...
bus khamoshi hai ek jise vo sunta nahin..
Jo dil mein hai vo to bus aankhon se jhalakta hai...
aur aankhen vo padta nahin...
Vo jaisa bhi hai..pyar karti hun use
uski har galti pe maaf karti hun use...
par meri galtiyon ko vo najarandaj karta hi nahin...
Jo dil mein hai vo to bus aankhon se jhalakta hai...
aur aankhen vo padta nahin...
jeene ka hausla to rakthi hun, uske baigair bhi
Khushiyon ko pakdne sa saahas to karti hun uske baigair bhi
par yeh dil hai jo uske bina kahin lagta hi nahin....
Jo dil mein hai vo to bus aankhon se jhalakta hai...
aur aankhen vo padta nahin...
Vo phir se mujhe pyar karega pehle ki tarah..
mere haath ko apne haath mein lega pehle ki tarah
yeh kahin yakin dilaana chahti hun apne aap ko...
par yakeen hai jo dagmagane ke siva kuch karta hi nahin...
Jo dil mein hai vo to bus aankhon se jhalakta hai...
aur aankhen vo padta nahin...
Post a Comment